kal jab toofan aa raha tha to mai apni chat pe pani dal rahi thi sham ko...aur asman me asman me badalon ke uthate hue gubar ko dekh ker bahut khush ho rahi thi ki kitna sunder najara hai...bilkul achchi si painting banane layak....fir jane kyu man me aya ki jab laiala ya sunami toofan aten hain to inhi badalon ki tarah sea waves uthati hongi.....aur tabhi achanak wo sunder, badal....cheekhte, chinghadte toofan me badal gaye aur charo taraf dhool mitti cha gayi aur hum bhage neeche aur kisi tarah sab khidhki, darwaje band kare....sach...kal ka din mai bhool nahi paungi kabhi...jab ate hue toofan ko mahsoos kiya...dekha....bhagwan ka shukr hai ki huamre sar pe ek chat to hai....jo gareeb log jhopdi me rahte hain ya khule asman ke neeche....unka kya hua hoga.....thank god ki humare pas ghar hai.....