Sunday, December 4, 2011

vidya ki behad bebak 'dirty picture" , saf suthre samaj ki gandgi ko ujagar karti hui ek film

"dirty picture" dekh li, vidya ne national award level ki acting ki hai.....dhobhi pachadh de di hai, sare male actors ko, film me.....vidya is role ke liye wakayi badhayi ki patr hai. apni image se alag hat ke is tarah ke role me bhi acting ke naye ayaam rachna...man gaye vidya ki vidya ko...aur uspe se ek vidrohi aur bebak ladki ki kahani, aur naseer jaise abhineta ka sahyog....(kahna hi hoga ki sare vidya ke sahyogi matr hi hain isme) .......ek pal bhi soch ko rukne nahi deti ye mvi.....silk smita hi nahi , rupahli duniya ki chamak damak ke peeche chupi avsad ki duniya ki, ek insan ke sapno ke parwan chadhne aur dil ke tootne ki, ek sath kayi chehron ko yad dilane wali ....kahani thi ye........marlin munro hon ya parveen bobby, silk smita ki ye katha sabhi ko bayan karti hai........umda......

Monday, May 24, 2010

bahut suna tha toofan ke bare me...laila, katrina, sunami.....kabhi socha nahi tha ki iska ek chota sa avtar hume itna dara dega.....kal yahan gorakhpur me bahut bhayanak sa toofan aya.......jane kitne beghar gareebon ki jan gayi hogi....ye din kuch ajeeb se ja rahen hain.....jahan dekho wahan tabahi ......manglore me viman hadse me mare gaye sabhi log...aur tatvarti sthano pe laila ki tabahi.....
kal jab toofan aa raha tha to mai apni chat pe pani dal rahi thi sham ko...aur asman me asman me badalon ke uthate hue gubar ko dekh ker bahut khush ho rahi thi ki kitna sunder najara hai...bilkul achchi si painting banane layak....fir jane kyu man me aya ki jab laiala ya sunami toofan aten hain to inhi badalon ki tarah sea waves uthati hongi.....aur tabhi achanak wo sunder, badal....cheekhte, chinghadte toofan me badal gaye aur charo taraf dhool mitti cha gayi aur hum bhage neeche aur kisi tarah sab khidhki, darwaje band kare....sach...kal ka din mai bhool nahi paungi kabhi...jab ate hue toofan ko mahsoos kiya...dekha....bhagwan ka shukr hai ki huamre sar pe ek chat to hai....jo gareeb log jhopdi me rahte hain ya khule asman ke neeche....unka kya hua hoga.....thank god ki humare pas ghar hai.....

Tuesday, March 23, 2010

aaj shaheed bhagat singh jayanti hai.......
isi vishay per apne ek yuva mitr ki hatasha bhari post dekh ke ye khayal aaya ki...

beshak ye bhagat singh ke sapno ka bharat na sahi......per fir bhi iska ek yuvak apni baichaini ko shayari ke madhyam se yahan ajadi se vyakt (express) kar sakta hai........ye bhi to unke sapno ki tabeer hi hai....jiske liye unlogon ne jan de di.....
jay hind.....

Saturday, March 20, 2010

ye ek mahshay ji ki batkahi aur uspe bahut sare comments me se mera comment.....jara dekhen to...

....chunnu aya aur turant hi use mukti mil gayi ....wo chala gaya........neha ko bye karke....ab wo kaise is dukh ko jhelegi........ye to kahna mushkil hai.....per we are shocked......neha ko humlog majak me "wo rahne wali mahlon ki" kahte the....kabhi dhoop se bhi murjhane wali ladki aj is duk ki dhoop ko jhelegi.......may god help her aur ishwer kare ki chunnu jald hi uski dooseri swasth santan ke roop me use wapas mile....

Saturday, March 13, 2010

whom u remember d most when u feel down

doston ka hi sahra hota hai....aur agar wo free na hon to meri mummy.......unke pas mere liye humesha time hota hai........aur mere ansuon ke liye anchal bhi.....hostel me unke letters hi mera sahara/sambal hote the.....wo humesha likhti thin......." yadi teri dak shune keo na ashe te ppar ekla chalo re...".....matlab agar tumhari awaj sunnke sath dene koi na aye to us par akele jao.....aur inhi panktiyon ka kamal tha ki hostel ke sathiyon ke badlte rangon wale vyavhar ke beech bhi maine apna lakshy poora kiya......thnx mom.....love u.....bhagwan apko swasth rakhe.....
mai koi indra gandhi nahi aur na hi mere papa nehru ji the k unke mere nam likhe hue letters " pita ke patr putri ke nam" ke roop me published hote per fir bhi mere papa ke likhe hue patr bhi mere liye prerna ka srot hote the.....aur lekhan itna achcha ki wardon bhi tareef karti thin........(are banasthali vidyapith me letters pahle wardon check karti thi tab girls ko deti thin)......sach hai door rah ke apno ka pyar hi apka sambal hota hai......