Saturday, March 13, 2010

whom u remember d most when u feel down

doston ka hi sahra hota hai....aur agar wo free na hon to meri mummy.......unke pas mere liye humesha time hota hai........aur mere ansuon ke liye anchal bhi.....hostel me unke letters hi mera sahara/sambal hote the.....wo humesha likhti thin......." yadi teri dak shune keo na ashe te ppar ekla chalo re...".....matlab agar tumhari awaj sunnke sath dene koi na aye to us par akele jao.....aur inhi panktiyon ka kamal tha ki hostel ke sathiyon ke badlte rangon wale vyavhar ke beech bhi maine apna lakshy poora kiya......thnx mom.....love u.....bhagwan apko swasth rakhe.....
mai koi indra gandhi nahi aur na hi mere papa nehru ji the k unke mere nam likhe hue letters " pita ke patr putri ke nam" ke roop me published hote per fir bhi mere papa ke likhe hue patr bhi mere liye prerna ka srot hote the.....aur lekhan itna achcha ki wardon bhi tareef karti thin........(are banasthali vidyapith me letters pahle wardon check karti thi tab girls ko deti thin)......sach hai door rah ke apno ka pyar hi apka sambal hota hai......

4 comments:

  1. Bloggers ki duniya me ........swagat hai Roli!! waise bhi tumhare man ke udweg. me wo khusboo hai, jo khud b khud hame padhne ko prerit karne lagta hai..........:)
    ham tumhare posts ka wait karenge.......

    tumhare papa nehru nahi the......lekin unki beti kee soch........subhan allah...god bless!!

    ReplyDelete
  2. aapki baat ke zarre zarre se mata pita ke prati chalakta hua pyaar dikh raha hai, isme koi do raai nahi ki mata pita he ek bachche ke sabse achche dost ban sakte hai, or jivan ke har dhundlate or badalte rango se rubaru hona sikhate hain , bahut he achcha likha hai aunty aapne, paddh kar ghar ki yaad aa gai, 6 saal se ghar se dur hu, yaad aana laajmi hai :)

    ReplyDelete
  3. didi idhar paon chhuna mana to nai hai na?

    ReplyDelete
  4. i remember myself d best when i feel down

    ReplyDelete